Wednesday, October 25, 2006

mohabbat ne

mohabbat ne kiya tha kabhi badnaam humein
sanjoy the aaj bhi un hasin lamho ko,
yakeen tha bhejenge kabhi to wo paigaam humein.

nigahen chaukhat par tika rakhi thi humnein,
kahin aane ki ahat na chuk jaaye,
is chaukhat par na jaane kitni shaam dhali,
aaj fizaaein suna rahi hai, unki mohabbat ki daastan humein

kisse kahein, kya kahei, kya dosh de taqdeer ko,
kuchh kar na sake bas dekhte reh gaye tasveer ko,
tasveer ladkhada kar gir jaaye haathon se
itna nasha bhi nahi deti aaj jaam humein.

unki berukhi se aaj ye duniya paraya lagta hai,
jisne humein dil diya, unhe bahut sataya lagta hai,
ab to jeene ki koi chah bachi nahi,
magar kambakht marne bhi nahi deti unka naam humein.

koi bataye na jaakar unhe haal humara
nahi to, palkon par har aasuon ka dengi wo ilzaam humein.




---- ajit rajak (2nd april 2006)

No comments: