Wednesday, October 25, 2006

hatheli par likhne ko unka naam

hatheli par likhne ko unka naam
apni taqdir mitaye jaa rahe hain.
wo har kadam par khush rahe
isliye apni muskaan lutaye jaa rahe hain.
khata thi meri ruswa jo wo hue...
hum apne hi ashkon se saare nishaan mitaye jaa rahe hain.
bhool gaye khud ka naam
na jaane kin kin galiyon mein bhatkaye jaa rahe hain

bahut sikhaya dil ko unhe yaad na kare
unki aane ki fariyaad na kare
har pal ise bas yahi samjhaye jaa rahe haiin.
unse baatein chhod dete, unki tasweer tod dete
par ab to wo saason mein base hain
unhe bhulane ke liye bas ab to apne sason ki thamaye jaa rahe hain.

ab bhi saason mein unka adhura chehra baakii hai
ab bhi unki bholi adaye nazar aati hain
yakeen nahi hota par, unki nigahein aaj bhi humein behkaye jaa rahe hain
intezaar aaj bhi karte hain
wo aayengi ek din, bas yahi keh bachi sason ko behlaye jaa rahe hain

humein to yakeen ho chala hai, wo bhi samajh jaayenge
ye geet unhi ke liye to gun gunaye jaa rahe hain
unke liye har pal muskaraye jaa rahe hain
unhe samjhaye jaa rahe hain


---ajit rajak(xxaug2006)

No comments: